Shayari dil se - heart touching shayari

Shayari dil se - heart touching shayari

Shayari dil se - heart touching shayari

Tumhari yaad mein jaise hum rote hai

Waise toh aajkal ke log gehri neend mein sote hai

तुम्हारी याद में जैसे हम रोते हैं 

वैसे तो आजकल के लोग गहरी नींद में सोते हैं

Main apni maa ka ladla hoon

Bhala papa ki koi pari mujhe kaise rula sakti hai

मैं अपनी मां का लाडला हूं 

भला पापा की कोई परी मुझे कैसे रुला सकती है

Yaad toh hoon na main

Aur jaisa Tumne kaha tha 

ishq mein us hisaab se barbaad toh hoon na main

याद तो हूं ना मैं 

और जैसा तुमने कहा था

 इश्क में उस हिसाब से बर्बाद तो हूं ना मैं

Heart touching sad lines 

Neend nahi aati itni aasani se ismein sone ke liye bhi rona padta hai

Aur ishq karo toh ek baat dhyaan rakho jisse ishq karo ishq mein usi ko khona padta hai

नींद नहीं आती इतनी आसानी से इसमें सोने के लिए भी रोना पड़ता है 

और इश्क करो तो एक बात ध्यान रखो जिससे इश्क करो इश्क में उसी को खोना पड़ता है

Jahan tum nahi wo har jagah bekar hai

Tumhare bin jeena chorr de hume iss qadar tumse pyaar hai

जहां तुम नहीं वो हर जगह बेकार है 

तुम्हारे बिन जीना छोड़ दे हम इस कदर तुमसे प्यार है

Agar kisi ki yaadein mitane ki bhi bani dawa hoti

Toh aaj hamari zindgi humse yoon na khafa hoti

अगर किसी की यादें मिटाने की भी बनी दवा होती 

तो आज हमारी जिंदगी हमसे यूं ना खफा होती

Sad hearttouching breakup shayari 

Bohot khushnaseeb hai log wo jinke nseeb mein tum aayi ho

Jab se gayi ho chorr ke hume har jagah deti dikhayi ho

बहोत खुशनसीब है लोग वो जिनके नसीब में तुम आई हो 

जब से गई हो छोड़ के हमें हर जगह देती दिखाई हो

Kehne ko toh duniya bohot rangeen thi

Magar sanam kahan tumhare bin thi

कहने को तो दुनिया बहोत रंगीन थी

मगर सनम कहां तुम्हारे बिन थी

Hum kaise niklenge bahar tumhare gam se

Jab tumhare bin jeena hoga hi nahi hum se

हम कैसे निकलेंगे बाहर तुम्हारे गम से 

जब तुम्हारे बिन जीना होगा ही नहीं हमसे

Yaar badi mushkil se bacha hoon main

Ishq karunga fir se toh fir se mara jaunga

यार बड़ी मुश्किल से बचा हूं मैं 

इश्क करूंगा फिर से तो फिर से मारा जाऊंगा


एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ