Aisi hi sard sham thi wo, sad dard bhari shayri
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi
Jab Wo Mahandi Rachaaye Haatho Main
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaa
Surkh Aanchal Main Munh Chhipaaye Hue
Apne Khat Mujh Se Lene Aai Thi Us Ki Sahami Hui Nigaaho Main
Kitni Khaamosh Iltijaaye Thin
Us Ke Chehre Ki Zard Rangat Main
Kitni Majabooriyon Ke Saaye The
Mere Haathon Se Khat Pakadte Hi
Jaane Kya Soch Kar Achaanak Wo
Mera Shanaa Pakad Kar Roi Thi
Us Ke Yaaqut Rang Honthon Ke
Kapkapaate Hue Kinaaron Par
Saikdon Ankahe Fasaane The
Sard Shaamo Main Der Tak Aksar
Jab Ye Manzar Dikhaai Deta Hai
Ek Lamha Hinaai Haathon Se
Mujh Ko Apni Taraf Bulata Hai
Hamnashin Ruth Kar Na Jaa Mujh Se
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi.....
plz do not enter any spam link in the comment box
plz do not enter any spam link in the comment box